Wednesday, October 26, 2011

Dil - Dohe

Ankho ke ek bar ke dosh ke liye,
Dil ko zindagi bhar sehna padta hai

Pyar mein Bimar dimag hota hai
Per dil ko dosh dena padta hai,

Pyar ki rah mein, aag ka dariya premi to par kar jate hai,
Per prem ki thandi aah se, toot kar bikhar jana padta hai,

Man aur Manzil ke bhich ki jung mein,
Zindagi ko lahoo lohan hona padta hai.

Soch chahe kitni bhi purani ho,
sapno ko to in ankhon mein hi panapna padta hai.

Dil pe dastak, chahe pyari ankhen kare, ya mithi jaban kare,
per akhir mein, dard ka aihsas hi de jata hai.

Pyar chahe hum, unse gujharish karke kare, ya apni deewangi dikha ke kare, 

ya unko hasin sapno mein dooba kar kare, ya unke nakhre ootah kar kare, 
per akhirkar, har haal me apne dil ke aage jukhna hi padta hai.

Har bar khone per, ya rone per, kyon dil ki baat samaj mein aati hai,
pyar mein gujhari her baat, kyon aankhe nam kar jati hai

Woh hume bhool jayenge, ye baat to samaj mein aati hai,
Per zindagi ke hasin pal bhool jaye, ye baat samaj mein nahi aati,

Pyar mein, zahar bhi madh ki tarah lagta hai,
Marte marte bhi, band hoti har ek dhakhan, 

Dard dene wale dushman ko bhi dua deti jaati hai,

Sach kaha hai kisine, dil ka rog hai bura,
Haadh se jadha jise ho jaye woh, to apno ko bhi ghootan de jaati hai,
Chu kar nikal jaye jo woh kisiko to, zindagi ko sukkhi dali ki tarah jalati hai.

Jis tarah se...Nadiya ko, kinare bandhe rakhti hai,
ussi tarah se...mohabat ko, apno ke sahare bandha ja sakta hai,

Jis tarah se....Khuli sarab or khula sabab, dono ko dakhna zarrori hai
ussi tarah se... ashique aur maushique, dono ko chupana zarrori hai,

Kyon ki is ke khul jaane ke baad, in bimaro/nigodo ko rokna mushkil hai.

Pyar ka dil mein hona, komalta ki nishani hai,
Pyar dil mein ho kar bhi, na pana, bikhari hui zindagi ki nishani hai,
Pyar dil mein ho kar bhi, kho dena, badkismati ki kahani hai,
Na samjhe jo pyar ko, dil uska pathar ki nishani hai.