Wednesday, October 26, 2011

HVD - Happy Valentine Day

Pyar ke tevhar hai, VD,
Dhadakte dilo ka arman hai, VD,
Bite hua kal ki khusboo hai, VD
naye sapno ko dekhne ka din hai, VD
Adhure sapne ko zindagi banane ka aihsas hai, VD
Bikhri hue zindagi ko sametna ka din hai, VD
Mera V aisa hai, mera V waisa hai, mere V jaisa koi nahi, mere dil mein hai V. Mera V hi mera dil hai, kya kahu mein apne V ke bare mein, us jaisa koi sansar mein nahi.

mere dil ki dhadkan hai V, meri har khushi ka rang hai V, meri adhuri zindagi ka arman hai V. Kaise batao mere liye kya hai V.

Mein rahu na rahu, mera V rahe sada, yehi dua mangte hai hum Khudha se.
mera V mujhe chahe ya na chahe, meri chahat kabhi na ho kam yehi chahate hai hum khudha se.

mein agar akar hu, to woh meri chitrakar hai.
mein agar badan hu, to woh meri jaan hai.
Mein agar dard hu, to woh meri khushiyon ki dukan hai.
Mein agar andhera hu, to woh mujme basi aag hai,

Meri har dard ki chabi hai uski boli,
Woh mere liye Khudha ki ibadat, uska didar, mere jine ki aadat.

Dil ka kasoor itna hai ki, dhadkane ke bajaye bhatakne ka kaam kiya,
Ankhon ka kasoor itna hai ki, dekhne ke bajaye matakne ka kaam kiya.
Zindagi ka kasoor itna hai ki, Apne liye jine ke bajaye tere liye jine ka kaam kiya.

To be continued.... Forever .... Kyoin khwashiyon ko koi dor bandh nahi sakti, pyar ko koi nap nahi sakta, Tum mere liye kya ho, in sabdo ko jodhkar bhi kah nahi sakta.

Ye Jante hua bhi, ki tumhe ye sari baate rijha na payega, phir bhi ye dil naakaam koshish karta jayega, kyonki isse jada ye diwana kuch kar bhi na payega.