Farz pura kiya apna, to kya hua sila na mila uska
Dard thoda hua, jab koi 'thanks' bolne ke bajaye inquiry karne laga.
apne nukhsan ke dar se, insaan bokhla kyon jata.
Barosa kyon dagmaga jata hai,
Jab ki ye jante hua bhi ki karne wala dil se chahata hai,
acha-bura, nafa-nukhsan, sach-jhoot bhi pehchanta hai.
Kya hai, jo woh kho dega jab ye janta hai ki, milta utna hai jitna likha hai,
todta bhi wahi hai jo jodta hai.
Mod to bas aajate hai, rasta chahe Kitna bhi sidha hum chune.
Dil ki suno yehi kehta raha mein hamesha, per dard hi paya har bar humne is per chalkar. Phir umid nahi jhoda meine, kyon ki dard aur khushi dono mere apne aur kisi ek se nahi kar sakta mein pyar ya tiraskar.
shor gul mein vyasth logo ke liye, man ke kaan se dil ko sunna mushkil hai, per dil walo ke liye har mahol mein use sunna mumkin hai.