Pyar meri Bhool bani, ya ek Bhool bani mera pyar, sochta hu to mann bolta hai, chahe Bhool se hi.... Per hua to hua mujhe pyar tujhse.
Ankhon mein teri tasvir ho kar bhi, dhondhta huin tujhe har jagha, kyon har pal ye lagta hai ki,tujhe khokar bhi umide hai abhi bhi zinda, ki.... tujhe ab bhi hai pyar mujhse ....
uchi udaan ho lena ya gotha lena ho gayrahiyon mein, mujhsa na milega tujhe, is sare sajahan mein, yehi galfemi ke sath ji rahe the mein, ek ke bad ek kamjor palone ne zinda dafna diya mere hasin pyar ka mahel, ab to khandar huin, bas dah jane ka intazar kar sakta huin, Per.... Kya kare kambaqt koi judha karta hi nahi tujhe mujhse.
budduaye bhi nahi lagti hume kisiki, itne sakth jan ho gaye hai hum, suni ho jaye rahe bhi jo Tumhari, phir unper tera intazar karneki chahat rahegi sada..... Kya pata kabhi to tumhari zindagi mudhkar in rashto se gujhar jaye.
Manta hui ki tere bagair jina mereliye mushkil hai, per usse jadha mushkil hai, tere bagair hasna, rona aur kisi aur ka pyar banjana.